اردو हिंदी
Mere zaKHm-e-jigar ko zaKHm-e-daman-dar hona tha | Shaahi Shayari
mere zaKHm-e-jigar ko zaKHm-e-daman-dar hona tha

Ghazal

Mere zaKHm-e-jigar ko zaKHm-e-daman-dar hona tha

Fazil Ansari

;

mere zaKHm-e-jigar ko zaKHm-e-daman-dar hona tha
zara wazeh tumhaare lutf ka izhaar hona tha

dil-e-pur-dagh ki tarikiyon par saKHt hairat hai
ye wo matla hai jis ko matla-e-anwar hona tha

tumhein lena tha pahle jaeza apni nigahon ka
phir us ke baad musa talib-e-didar hona tha

pareshan hain misal-e-gard-gumnami ke sahra mein
bahut aise ki jin ko qafila-salar hona tha

udhar wo aae aankhon mein idhar KHwab-e-ajal aaya
kahan soi hui taqdir ko bedar hona tha

koi dekhe to 'fazil' qabiliyyat baghbanon ki
wahan kanTe hi kanTe hain jahan gulzar hona tha