mere sine se tera tir jab ai jang-ju nikla
dahan-e-zaKHm se KHun ho ke harf-e-arzu nikla
mera ghar teri manzil-gah ho aise kahan tale
KHuda jaane kidhar ka chand aaj ai mah-ru nikla
phira gar aasman to shauq mein tere hai sargardan
agar KHurshid nikla tera garm-e-justuju nikla
mai-e-ishrat talab karte the nahaq aasman se hum
wo tha labrez-e-gham is KHum-kade se jo subu nikla
tere aate hi aate kaam aaKHir ho gaya mera
rahi hasrat ki dam mera na tere ru-ba-ru nikla
kahin tujh ko na paya garche hum ne ek jahan DhunDa
phir aaKHir dil hi mein dekha baghal hi mein se tu nikla
KHajil apne gunahon se hun main yan tak ki jab roya
to jo aansu meri aankhon se nikla surKH-ru nikla
ghise sab naKHun-e-tadbir aur TuTi sar-e-sozan
magar tha dil mein jo kanTa na hargiz wo kabhu nikla
use ayyar paya yar samjhe 'zauq' hum jis ko
jise yan dost apna hum ne jaana wo udu nikla

Ghazal
Mere sine se tera tir jab ai jang-ju nikla
Sheikh Ibrahim Zauq