mere gham ki unhen kis ne KHabar ki
gai kyun ghar se bahar baat ghar ki
ghuTa jata hai dam ruKHsat hua kaun
ye duniya gard hai kis ke safar ki
ye kaisa khel hai ai chashm-e-pur-fan
udhar kyun ho gai duniya idhar ki
hunar sikha zamana aib ka tha
KHata ki aur hum ne jaan kar ki
bahut ruswa hue bas ai dua bas
KHushamad ab nahin hoti asar ki
bahut kyun ho na ruswai hamari
yahi to hai kamai umr bhar ki
Tali 'natiq' musibat jaan le kar
hamein ruKHsat kiya aur aap sarki
Ghazal
Mere gham ki unhen kis ne KHabar ki
Natiq Gulavthi