mere fikr o fan ko nai faza nae baal-o-par ki talash hai
jo qafas ko yas ke phunk de mujhe us sharar ki talash hai
hai ajib aalam-e-sarKHushi na shakeb hai na shikastagi
kabhi manzilon se guzar gae kabhi rahguzar ki talash hai
mujhe us junun ki hai justuju jo chaman ko baKHsh de rang o bu
jo nawed-e-fasl-e-bahaar ho mujhe us nazar ki talash hai
mujhe us sahar ki ho kya KHushi jo ho zulmaton mein ghiri hui
meri sham-e-gham ko jo luT le mujhe us sahar ki talash hai
yun to kahne ke liye chaaragar mujhe be-shumar mile magar
jo mizaj-e-gham ko samajh sake usi chaaragar ki talash hai
mere naseha mere nukta-chin tujhe mere dil ki KHabar nahin
main harif-e-maslak-e-bandagi tujhe sang-e-dar ki talash hai
mujhe ishq husn o hayat se mujhe rabt fikr o nashat se
mera sher naghma-e-zindagi tujhe nauhagar ki talash hai
use zid ki 'wamiq'-e-shikwa-gar kisi raaz se na ho ba-KHabar
mujhe naz hai ki ye dida-war meri umr bhar ki talash hai

Ghazal
Mere fikr o fan ko nai faza nae baal-o-par ki talash hai
Wamiq Jaunpuri