mere danton ki umr ai aarzu mujh se bhi chhoTi thi
usi ne sath chhoDa dant-kaTi jin se roTi thi
shikayat aarzu ki be kiye naseh nahin banti
ye sab dil-juiyan zahir ki thi baatin ki khoTi thi
hawa dar dar liye phirti hai ab to meri miTTi ko
ye hai wo KHak jo ek din tere qadmon pe loTi thi
bahut gahre na hon ochhe sahi charke to pure hain
KHata qatil ki kya hai ek dara talwar chhoTi thi
pahaD us par gira ai aasman kya bas chale warna
hamare aashiyan ki shaKH sab shaKHon se moTi thi
bala kar tu ne ai hasti yahan ki KHub mehmani
wahi karte hain faqe jin ke dam se das ki roTi thi
pahunch jati thi us us ghar mein jis jis ghar ka pasa tha
jo sach puchho to meri aarzu chausar ki goTi thi
na kyun kar teri yaktai ka kalima naqsh ho dil par
sabaq ki tarah barson ye ibarat hum ne ghoTi thi
mujhe KHush KHush jo paya jal ke kya jaldi hui ruKHsat
shab-e-wasl ai falak sab kuchh sahi niyyat ki chhoTi thi
ye sach hai 'shad' kya tha kuchh na tha lekin tumhaara tha
na samjha tum ne ai barik-bino baat moTi thi
Ghazal
Mere danton ki umr ai aarzu mujhse bhi chhoTi thi
Shad Azimabadi

