mera hi pur-sukun chehra bahut tha
main apne aap mein bikhra bahut tha
bahut thi tishnagi dariya bahut tha
sarabon se Dhaka sahra bahut tha
salamat tha wahan bhi mera daman
bahaaron ka jahan charcha bahut tha
unhen Thahre samundar ne Duboya
jinhen tufan ka andaza bahut tha
uData KHak kya main dasht o dar ki
mere andar mera sahra bahut tha
zamin qadmon tale nichi bahut thi
saron par aasman uncha bahut tha
Ghazal
Mera hi pur-sukun chehra bahut tha
Malikzada Manzoor Ahmad