اردو हिंदी
Dil dimagh-o-jigar ye sab ek bar | Shaahi Shayari
dil dimagh-o-jigar ye sab ek bar

Ghazal

Dil dimagh-o-jigar ye sab ek bar

Mir Taqi Mir

;

dil dimagh-o-jigar ye sab ek bar
kaam aae firaq mein ai yar

kyun na ho zoaf ghaalib aaza par
mar gae hain qushun ke sardar

gul-e-pazhmurda ka nahin mamnun
hum asiron ka gosha-e-dastar

mat nikal ghar se hum bhi raazi hain
dekh lenge kabhu sar-e-bazar

sainkaDon harf hain girah dil mein
par kahan paiye lab-e-izhaar

sair kar dasht-e-ishq ka gulshan
ghunche ho ho rahe hain sau sau KHar

roz-e-mahshar hai raat hijran ki
aisi hum zindagi se hain bezar

bahs nala bhi kijiyo bulbul
pahle paida to kar lab-e-guftar

chaak-e-dil par hain chashm sad KHuban
kya karun yak anar-o-sad-bimar

shukr kar dagh-e-dil ka ai ghafil
kis ko dete hain dida-e-bedar

go ghazal ho gai qasida si
aashiqon ka hai tul harf-e-shiar

har sahar lag chali to hai to nasim
ai siyah-mast-naz Tak hushiyar

shaKHsane hazar niklenge
jo gaya us ki zulf ka ek tar

wajib-ul-qatl is qadar to hun
ki mujhe dekh kar kahe hai pukar

ye tu aaya na samne mere
lao meri miyan sipar talwar

aa ziyarat ko qabr aashiq par
ek tarah ka hai yan bhi josh-e-bahaar

nikle hai meri KHak se nargis
yani ab tak hai hasrat-e-didar

'mir'-sahib zamana nazuk hai
donon hathon se thamiye dastar

sahal si zindagi pe kaam ke tin
apne upar na kijiye dushwar

chaar din ka hai majhla ye sab
sab se rakhiye suluk hi na-chaar

koi aisa gunah aur nahin
ye ki kije sitam kisi par yar

wan jahan KHak ke barabar hai
qadar haft-asman zulm-shiar

yahi darKHwast pas dil ki hai
nahin roza namaz kuchh darkar

dar-e-masjid pe halqa-zan ho tum
ki raho baiTh KHana-e-KHummar

ji mein aawe so kijiyo pyare
leak hujo na darpai aazar

hasil-e-do-jahan hai yak harf
ho meri jaan aage tum muKHtar