اردو हिंदी
Be-kasana ji giraftari se shewan mein raha | Shaahi Shayari
be-kasana ji giraftari se shewan mein raha

Ghazal

Be-kasana ji giraftari se shewan mein raha

Mir Taqi Mir

;

be-kasana ji giraftari se shewan mein raha
ek dal gham-KHwar rakhte the so gulshan mein raha

panja-e-gul ki tarah diwangi mein hath ko
gar nikala mein gareban se to daman mein raha

shama san jalte rahe lekin na toDa yar se
rishtha-e-ulfat tamami umr gardan mein raha

Dar se us shamshir-zan ke jauhar aaina san
sar se le kar panw tak main gharq aahan mein raha

hum na kahte the ki mat dair-o-haram ki rah chal
ab ye dawa hashr tak shaiKH-o-barahman mein raha

darpai dil hi rahe us chehre ke KHal-e-siyah
Dar hamein un chonton ka roz-e-raushan mein raha

aah kis andaz se guzra bayaban se ki 'mir'
ji har ek naKHchir ka us said-e-afgan mein raha