اردو हिंदी
Aalam mein koi dil ka talabgar na paya | Shaahi Shayari
aalam mein koi dil ka talabgar na paya

Ghazal

Aalam mein koi dil ka talabgar na paya

Mir Taqi Mir

;

aalam mein koi dil ka talabgar na paya
is jins ka yan hum ne KHaridar na paya

haq DhunDne ka aap ko aata nahin warna
aalam hai sabhi yar kahan yar na paya

ghairon hi ke hathon mein rahe dast-e-nigarin
kab hum ne tere hath se aazar na paya

jati hai nazar KHas pe gah chashm-paridan
yan hum ne par kah bhi be-kar na paya

taswir ke manind lage dar hi se guzri
majlis mein teri hum ne kabhu bar na paya

suraKH hai sine mein har ek shaKHs ke tujh se
kis dal ke tarah tir-e-nigah par na paya

marbut hain tujh se bhi yahi na-kas-o-na-ahl
us bagh mein hum ne gul be-KHar na paya

dam baad junun mujh mein na mahsus tha yani
jame mein mere yaron ne ek tar na paya

aaina bhi hairat se mohabbat ki hue hum
par sair ho is shaKHs ka didar na paya

wo khinch ke shamshir sitam rah gaya jo 'mir'
KHun-rezi ka yan koi saza-war na paya