اردو हिंदी
Gham usko sari raat sunaya to kya hua | Shaahi Shayari
gham usko sari raat sunaya to kya hua

Ghazal

Gham usko sari raat sunaya to kya hua

Mir Taqi Mir

;

gham us ko sari raat sunaya to kya hua
ya rose uTh ke sar ko phiraya to kya hua

un ne to mujh ko jhuTe bhi puchha na ek bar
main ne use hazar jataya to kya hua

KHwahan nahin wo kyun hi main apni taraf se yun
dil de ke us ke hath bikaya to kya hua

ab sai kar siphar ki mere mue gae
us ka mizaj mehr pe aaya to kya hua

mat ranja kar kisi ko ki apne to e'tiqad
dil Dhae kar jo kaba banaya to kya hua

main said-e-na-tawan bhi tujhe kya karunga yaad
zalim ek aur tir lagaya to kya hua

kya kya duaen mangi hain KHalwat mein shaiKH yun
zahir jahan se hath uThaya to kya hua

wo fikr kar ki chaak-e-jigar pawe iltiyam
naseh jo tu ne jama sulaya to kya hua

jite to 'mir' un ne mujhe dagh hi rakkha
phir gor par charagh jalaya to kya hua