اردو हिंदी
Dahr bhi mir turfa-e-maqtal hai | Shaahi Shayari
dahr bhi mir turfa-e-maqtal hai

Ghazal

Dahr bhi mir turfa-e-maqtal hai

Mir Taqi Mir

;

dahr bhi 'mir' turfa-e-maqtal hai
jo hai so koi dam ko faisal hai

kasrat-e-gham se dil laga rukne
hazrat-e-dil mein aaj danggal hai

rose kahte hain chalne ko KHuban
lekin ab tak to roz-e-awwal hai

chhoD mat naqd waqt-e-nasiya par
aaj jo kuchh hai so kahan kal hai

band ho tujh se ye khula na kabhu
dil hai ya KHana-e-muqaffal hai

sina-chaaki bhi kaam rakhti hai
yahi kar jab talak moattal hai

ab ke hathon mein shauq ke tere
daman-e-baadiya ka aanchal hai

Tak gareban mein sar ko Dal ke dekh
dil bhi kya laq-o-daq jangal hai

hijr bais hai bad-gumani ka
ghairat-e-ishq hai to kab kal hai

mar gaya kohkan isi gham mein
aankh ojhal pahaD ojhal hai