aage hamare ahd se wahshat ko ja na thi
diwangi kaso ki bhi zanjir-e-pa na thi
begana sa lage hai chaman ab KHizan mein hae
aisi gai bahaar magar aashna na thi
kab tha ye shor-e-nauha tera ishq jab na tha
dil tha hamara aage tu matam-sara na thi
wo aur koi hogi sahar jab hui qubul
sharminda-e-asar to hamari dua na thi
aage bhi tere ishq se khinche the dard-o-ranj
lekin hamari jaan par aisi bala na thi
dekhe dayar-e-husn ke mein karwan bahut
lekin kaso ke pas mata-e-wafa na thi
aai pari si parda-e-mina se jam tak
aankhon mein teri duKHtar-e-raz kya haya na thi
is waqt se kya hai mujhe to charagh-e-waqf
maKHluq jab jahan mein nasim-o-saba na thi
pazhmurda is qadar hain ki hai shubh hum ko 'mir'
tan mein hamare jaan kabhu thi bhi ya na thi
Ghazal
Aage hamare ahd se wahshat ko ja na thi
Mir Taqi Mir