aa jaen hum nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat hamein bisan-e-sharar kam bahut hai yan
yak lahza sina-kubi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jaane ka matam bahut hai yan
hasil hai kya soe tarai ke dahr mein
uTh aasman tale se ki shabnam bahut hai yan
mail ba-ghair hona tujh abru ka aib hai
thi zor ye kaman wale KHam cham bahut hai yan
hum rah-rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa bisan-e-subh koi dam bahut hai yan
us but-kade mein mani ka kis se karen sawal
aadam nahin hai surat-e-adam bahut hai yan
aalam mein log milne ki gon ab nahin rahe
har-chand aisa-waisa to aalam bahut hai yan
waisa chaman se sada nikalta nahin koi
rangini ek or KHam-o-cham bahut hai yan
ejaz-e-iswi se nahin bahs ishq mein
teri hi baat jaan-e-mujassam bahut hai yan
mere halak karne ka gham hai abas tumhein
tum shad zindagani karo gham bahut hai yan
dil mat laga ruKH-e-araq-alud yar se
aaine ko uTha ki zamin nam bahut hai yan
shayad ki kaam subh tak apna khinche na 'mir'
ahwal aaj sham se dirham bahut hai yan
Ghazal
Aa jaen hum nazar jo koi dam bahut hai yan
Mir Taqi Mir