اردو हिंदी
Bazm mein jo tera zuhur nahin | Shaahi Shayari
bazm mein jo tera zuhur nahin

Ghazal

Bazm mein jo tera zuhur nahin

Mir Taqi Mir

;

bazm mein jo tera zuhur nahin
sham-e-raushan ke munh pe nur nahin

kitni baaten bana ke laun ek
yaad rahti tere huzur nahin

KHub pahchanta hun tere tain
itna bhi to main be-shuur nahin

qatl hi kar ki us mein rahat hai
lazim us kaam mein marur nahin

fikr mat kar hamare jine ka
tere nazdik kuchh ye dur nahin

phir jiyenge jo tujh sa hai jaan-baKHsh
aisa jina hamein zarur nahin

aam hai yar ki tajalli 'mir'
KHas musa wa koh-e-tur nahin