اردو हिंदी
Kya tera hai aashna gahe-gahe na-ashna | Shaahi Shayari
kya tera hai aashna gahe-gahe na-ashna

Ghazal

Kya tera hai aashna gahe-gahe na-ashna

Mir Taqi Mir

;

kya tera hai aashna gahe-gahe na-ashna
ya to begane hi rahiye hojiye ya aashna

paemal-e-sad-jafa na-haq na ho ai andalib
sabza-e-begana bhi tha is chaman ka aashna

kaun se ye bahr-e-KHubi ki pareshan zulf hai
aati hai aankhon mein meri mauj dariya-ashna

rona hi aata hai hum ko dil hua jab se juda
jae rone hi ki hai jawe jab aisa aashna

na-samajh hai to jo meri qadar nain karta ki shoKH
kam bahut milta hai phir dil-KHwah itna aashna

bulbulen paiz mein kahti thin hota kashke
yak mizha rang farari is chaman ka aashna

ko gul-o-lala kahan sumbul saman ham-nastaran
KHak se yaksan hue hain hae kya kya aashna

kya karun kis se kahun itna hi begana hai yar
sare aalam mein nahin pate kisi ka aashna

jis se main chahi wisatat un ne ye mujh se kaha
hum to kahte gar miyan hum se wo hota aashna

yun suna ja hai ki karta hai safar ka azm-jazm
sath ab begana wazon ke hamara aashna

sher 'saib' ka munasib hai hamari or se
samne us ke paDhe gar ye koi ja aashna

ta-ba-jaan ma ham-rahim wa ta-ba-manzil digaran
farq bashad jaan-e-ma az-ashna ta-ashna

dagh hai taban alaihir-rahma ka chhati pe 'mir'
ho najat us ko bechaara hum se bhi tha aashna