اردو हिंदी
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi | Shaahi Shayari
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Ghazal

Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi

Sahir Ludhianvi

;

milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi

sharma ke munh na pher nazar ke sawal par
lati hai aise moD pe qismat kabhi kabhi

khulte nahin hain roz dariche bahaar ke
aati hai jaan-e-man ye qayamat kabhi kabhi

tanha na kaT sakenge jawani ke raste
pesh aaegi kisi ki zarurat kabhi kabhi

phir kho na jaen hum kahin duniya ki bhiD mein
milti hai pas aane ki mohlat kabhi kabhi