mila jo kaam gham-e-mo'tabar banane ka
hunar us aankh ko aaya na ghar banane ka
tujhi se KHwab hain mere tujhi se bedari
tujhe saliqa hai sham-o-sahar banane ka
main apne pichhe sitaron ko chhoD aaya hun
mujhe dimagh nahin ham-safar banane ka
ye mere hathon mein patthar hain aur raat hai sard
main kaam leta hun un se sharar banane ka
sarae mein koi ek shab ruke to baat hai aur
magar sawal hai duniya ko ghar banane ka
makan ke naqshe pe diwar likh diya kis ne
yahan to mera irada tha dar banane ka
ye aur baat ki manzil-fareb tha lekin
hunar wo jaanta tha ham-safar banane ka
wo log kashti o sahil ki fikr kya karte
jinhen hai hausla dariya mein ghar banane ka
har ek tuKHm ko rizq-e-shikam-puri na samajh
hunar bhi sikh zamin se shajar banane ka
bahut tawil meri dastan-e-gham thi magar
ghazal se kaam liya muKHtasar banane ka

Ghazal
Mila jo kaam gham-e-motabar banane ka
Saleem Ahmed