mil jaen azhdaham mein hum hi ye hum se dur
ek ghar juda banaenge dair-o-haram se dur
jitne qadam zyaada hon utna zyaada ajr
ghar barahman ka chahiye bait-us-sanam se dur
shaddad shukr kar ki gai dar pe teri jaan
jab tha maqam-e-shikwa ki marta iram se dur
pairaw hun garche pas-e-adab bhi zarur hai
rakhta hun panw KHizr ke naqsh-e-qadam se dur
chahun ki haal wahshat-e-dil kuchh raqam karun
bhagen huruf waqt-e-nigarish qalam se dur
dekha hai dam-o-dana ka dastur yan naya
KHal-e-zaqan hi turra-e-pur-pech-o-KHam se dur
dam bhar mein ja pahunchte hain yan ke muqim wan
ye marhala nahin hai sawad-e-adam se dur
hain khel sab munafi-e-shaukat ki ahl-e-jah
rah jate hain shikar mein KHail-o-hasham se dur
'nazim' ye tar bijli ke nikle hai rah KHub
baaten karenge yar ho kitna hi hum se dur

Ghazal
Mil jaen azhdaham mein hum hi ye humse dur
Syed Yusuf Ali Khan Nazim