mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf
aah wo tir-e-nim-kash jis ka na ho koi hadaf
tere muhit mein kahin gauhar-e-zindagi nahin
DhunD chuka main mauj mauj dekh chuka sadaf sadaf
ishq-e-butan se hath uTha apni KHudi mein Dub ja
naqsh o nigar-e-dair mein KHun-e-jigar na kar talaf
khol ke kya bayan karun sirr-e-maqam-e-marg o ishq
ishq hai marg-e-ba-sharaf marg hayat-e-be-sharaf
sohbat-e-pir-e-rum se mujh pe hua ye raaz fash
lakh hakim sar-ba-jeb ek kalim sar-ba-kaf
misl-e-kalim ho agar marka aazma koi
ab bhi daraKHt-e-tur se aati hai bang-e-la-taKHaf
KHira na kar saka mujhe jalwa-e-danish-e-farang
surma hai meri aankh ka KHak-e-madina-o-najaf
Ghazal
Mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf
Allama Iqbal