meri tanhai baDhate hain chale jate hain
hans talab pe aate hain chale jate hain
is liye ab main kisi ko nahin jaane deta
jo mujhe chhoD ke jate hain chale jate hain
meri aankhon se baha karti hai un ki KHushbu
raftagan KHwab mein aate hain chale jate hain
shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai
aap aate hain rulate hain chale jate hain
kab tumhein ishq pe majbur kiya hai hum ne
hum to bas yaad dilate hain chale jate hain
aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan
aap to aag lagate hain chale jate hain
hath patthar ko baDhaun to sagan-e-duniya
hairati ban ke dikhate hain chale jate hain
Ghazal
Meri tanhai baDhate hain chale jate hain
Abbas Tabish