meri KHabar na lena ai yar hai tajjub
ji se bache jo mujh sa bimar hai tajjub
wada-KHilafiyon se teri hai dil mein shubha
howe jo hashr mein bhi didar hai tajjub
tum kahte ho ki wo aata hai pas tere
us yar se to yaro bisyar hai tajjub
hasti se ek nafas ka hai fasla adam tak
tis par bhi hai pahunchna dushwar hai tajjub
kafi na tha tumhaare abru ka ek ishaara
khinchi jo aashiqon par talwar hai tajjub
sau bar din-o-iman gum hoe to ajab kya
TuTe jo ahd-e-ulfat ek yar hai tajjub
kyunkar kaTegi yarab auqat gham-zadon ki
koi nahin jahan mein gham-KHwar hai tajjub
naseh mera gareban sine ka fikr mat kar
sabut us mein pana ek tar hai tajjub
pamal dil kiye hain aalam ke har qadam mein
sikhi ye tum ne kis se raftar hai tajjub
gali hui hai ab to takiya-kalam tera
sidhi zaban kasu se guftar hai tajjub
islam mein ye kaisa inkar kufr se hai
tasbih mein piroe zunnar hai tajjub
diwana hai 'muhib' tu teri shikasta-haali
dekhe jo aankh uTha kar dildar hai tajjub
har baat mein jo kahiye majbur hai qabahat
insan ko gar samjhiye muKHtar hai tajjub
kuchh gu-magu hai yaro ye amr bandagi ka
afkar hai achambha iqrar hai tajjub

Ghazal
Meri KHabar na lena ai yar hai tajjub
Waliullah Muhib