mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi
main bhi achchha meri qismat bhi nihayat achchhi
aap ki shakl bhali aap ki surat achchhi
aap ke taur bure aap se nafrat achchhi
hashr ke din hamein sujhi ye shararat achchhi
le chale KHuld mein hum dekh ke surat achchhi
tujh se kahta tha koi ya teri taswir se aaj
aankhen achchhi teri aankhon ki murawwat achchhi
hum ne sau bar shab-e-wasl mila kar dekha
ai falak chand se wo chand se surat achchhi
na bane kaam to kis kaam ki nazuk shaklen
nazuk achchhe na hasinon ki nazakat achchhi
us se koi nahin achchha jo tujhe pyar kare
main bhi achchha tere sadqe meri qismat achchhi
teri madfan se jo uTThe wo bari ai waiz
un ke Thokar se jo uTThe wo qayamat achchhi
jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardun se
aur un se teri aankhon ki nadamat achchhi
munh mein jab baat ruki chum liya pyar se munh
dam-e-taqrir kisi shoKH ki luknat achchhi
dekhte hi kisi kafir ko bigaD jati hai
main jo chahun bhi to rahti nahin niyyat achchhi
husn-e-surat ki tarah husn-e-suKHan hai kam-yab
ek hoti hai hazaron mein tabiat achchhi
tujh se jalta hai jo wo aur jalate hain use
mere haq mein mere dushman ki adawat achchhi
aate jate nazar aati hai jhalak chilman se
parde parde mein nikal aai ye surat achchhi
KHugar-e-gham ke liye kuchh bhi nahin aish ka KHwab
aisi rahat se hamesha ki musibat achchhi
de ke wo bosa-e-lab shauq se len dil mera
uzr kya hai jo mile mal ki qimat achchhi
sun ke ashaar mere sab yahi kahte hain 'riyaz'
is ki qismat hai buri aur tabiat achchhi

Ghazal
Mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi
Riyaz Khairabadi