اردو हिंदी
Mere nazuk sawal mein utro | Shaahi Shayari
mere nazuk sawal mein utro

Ghazal

Mere nazuk sawal mein utro

Zafar Hameedi

;

mere nazuk sawal mein utro
ek harf-e-jamal mein utro

naqsh-bandi mujhe bhi aati hai
koi surat KHayal mein utro

phenk do dur aaj suraj ko
KHud hi ab mah-o-sal mein utro

KHub chamkogi aao shamshiro
mere zaKHmon ke jal mein utro

kuchh to lutf-e-tazad aaega
mere ghaar-e-zawal mein utro

KHwah patjhaD ki hi hawa ban kar
peD ki Dal Dal mein utro

muzmahil raat aur tanhai
kash KHwab-e-visal mein utro

ai 'zafar' pesh hai maha-bhaarat
aadmiyat ki Dhaal mein utro