اردو हिंदी
Mere marne ki bhi un ko na KHabar di jae | Shaahi Shayari
mere marne ki bhi un ko na KHabar di jae

Ghazal

Mere marne ki bhi un ko na KHabar di jae

Sahir Hoshiyarpuri

;

mere marne ki bhi un ko na KHabar di jae
kis liye apnon ko taklif-e-safar di jae

lakh ko le ke chalen ghair baDi shan ke sath
ghar se le ja ke ye chaurahe pe dhar di jae

umr bhar tu ne ata ki hai mai-e-hosh-ruba
waqt-e-aKHir hai mai-e-hosh-asar di jae

sim-o-zar se na sahi sabr-o-qanaat se sahi
mujh se KHuddar ki jholi bhi to bhar di jae

gham se gham ho na KHushi se ho KHushi ka ehsas
aisi tadbir bhi ai dil koi kar di jae

tab kahin ja ke mile manzil-e-irfan ka nishan
jab nigahon ko zaban dil ko nazar di jae

dil ki hai kushta-e-bedad-e-falak ai 'sahir'
is ko tabani-e-KHurshid-o-qamar di jae