mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya
ek pagal ne bahut logon ko pagal kar diya
apni palkon par saja kar mere aansu aap ne
raste ki dhul ko aankhon ka kajal kar diya
main ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtida
us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya
ye hawaen kab nigahen pher len kis ko KHabar
shohraton ka taKHt jab TuTa to paidal kar diya
dewtaon aur KHudaon ki lagai aag ne
dekhte hi dekhte basti ko jangal kar diya
zaKHm ki surat nazar aate hain chehron ke nuqush
hum ne aainon ko tahzibon ka maqtal kar diya
shahr mein charcha hai aaKHir aisi laDki kaun hai
jis ne achchhe-KHase ek shaer ko pagal kar diya
Ghazal
Mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya
Rahat Indori