اردو हिंदी
Mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai | Shaahi Shayari
mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai

Ghazal

Mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai

Azad Gulati

;

mera to nam ret ke sagar pe naqsh hai
phir kis ka nam hai jo tere dar pe naqsh hai

phenka tha hum pe jo kabhi us ko uTha ke dekh
jo kuchh lahu mein tha usi patthar pe naqsh hai

shayad idhar se guzra hai ek bar tu kabhi
teri nazar ka lams jo manzar pe naqsh hai

tera KHayal mujh se go mil kar bichhaD gaya
us ki mahak ka aks mere ghar pe naqsh hai

mere KHaton ko rakh ke sirhane wo so gaya
jaga to mere jism ka bistar pe naqsh hai

ab is mein jo bhi Daliye amrit se kam nahin
jo in labon pe tha wahi saghar pe naqsh hai

jo zaKHm ek nazar se mila tha wo bhar gaya
dhundla sa dagh ruh ke paikar pe naqsh hai

KHanjar chala tha mujh pe magar moajaza hai ye
qatil ka apna KHun hi KHanjar pe naqsh hai

'azad' kaun tha jo tahon mein utar gaya
kis ki hayat hai jo samundar pe naqsh hai