mera sara badan rakh ho bhi chuka main ne dil ko bachaya hai tere liye
TuTe phuTe se diwar-o-dar hain sabhi phir bhi ghar ko sajaya hai tere liye
kitni mehnat hui KHun pasina hua jism miTTi hua rang maila hua
KHud to jalta raha dozaKHon mein magar ghar ko jannat banaya hai tere liye
teri har baat thi talKHiyon se bhari tera lahja sada mujh ko Dasta raha
phir bhi thak haar kar apna daman mar kar main ne KHud ko manaya hai tere liye
mere har sans mein hukm shamil tera main hila bhi to marzi se teri hila
tu ne jo kuchh bhi chaha wahi ho gaya main ne KHud ko ganwaya hai tere liye
log kahte hain bechaare 'faruq' ki maut ho bhi chuki zindagi ke liye
apni hasti miTai hai tere liye us ko jina bhi aaya hai tere liye
Ghazal
Mera sara badan rakh ho bhi chuka maine dil ko bachaya hai tere liye
Zubair Farooq