اردو हिंदी
Mera aur phulon ka rishta TuT gaya | Shaahi Shayari
mera aur phulon ka rishta TuT gaya

Ghazal

Mera aur phulon ka rishta TuT gaya

Iliyas Babar Aawan

;

mera aur phulon ka rishta TuT gaya
khiDki band hui aur sapna TuT gaya

chiDiyan kab aaankhon se baaten karti hain
subh hui ghar ka sannaTa TuT gaya

bagh ki virani ka aini shahid hun
tanhai ke bojh se jhula TuT gaya

aaj bhi mera hath pakaD kar ghumegi
aaj phir us laDki ka chashma TuT gaya

peD aur dil mein koi KHas talluq hai
hawa chali aur aaKHiri patta TuT gaya