mein sochta hun jise aashna bhi hota hai
magar KHayal se wo mawara bhi hota hai
siwae shairi zindan mein kuchh kiya hi nahin
wagarna band-e-qafas kholna bhi hota hai
ziyaada-tar main anasir se dur dekhun use
wo KHak o aatish o aab o hawa bhi hota hai
main TuT jata hun aur dur ja bikharta hun
agar judai ka sadma zara bhi hota hai
har ek raste par hum to ja ke dekhen magar
jidhar na jaana ho wo rasta bhi hota hai
usi ke dar ke faqat ho ke rah gae hain hum
suna hai jab se ki darwaza wa bhi hota hai
'zafar' wahan ki jahan ho koi bhi had qaem
faqat bashar nahin hota KHuda bhi hota hai
Ghazal
Mein sochta hun jise aashna bhi hota hai
Sabir Zafar