mein kya hun kaun hun ye batane se main raha
ab KHud ko KHud se KHud ko milane se main raha
main laD paDa hun aaj KHud apne KHilaf hi
ab darmiyan se KHud ko haTane se main raha
hai zindagi asir-e-adam jaanta hun main
duniya tere fareb mein aane se main raha
mujh mein kahan hai tujh se judai ka hausla
ai meri jaan tujh ko ganwane se main raha
wahshat bhi apni itni taqqul pasand hai
dasht-e-junun mein KHak uDane se main raha
han waz-e-ehtiyat ka qail nahin hun mein
jo zaKHm hai jigar mein chhupane se main raha
wo log mera nam-o-nasab puchhte hain ab
jin ki nazar mein ek zamane se main raha
kuchh yar mere itne sataish pasand hain
'shahid' ab un ko sher sunane se main raha
Ghazal
Mein kya hun kaun hun ye batane se main raha
Shahid Kamal

