mehrab na qindil na asrar na tamsil
kah ai waraq-e-tira kahan hai teri tafsil
ek dhund mein gum hoti hui sari kahani
ek lafz ke baatin se ulajhti hui tawil
main aaKHiri partaw hun kisi gham ke ufuq par
ek zard tamashe mein hua jata hun tahlil
wamanda-e-waqt aankh ko manzar na dikha aur
zimme hai hamare abhi ek KHwab ki tashkil
aasan hue sab marhale ek mauja-e-pa se
barson ki faza ek sada se hui tabdil

Ghazal
Mehrab na qindil na asrar na tamsil
Rajinder Manchanda Bani