mehnat se mil gaya jo safine ke bich tha 
dariya-e-itr mere pasine ke bich tha 
aazad ho gaya hun zaman-o-makan se 
main ek ghulam tha jo madine ke bich tha 
asl-e-suKHan mein nam ko pechidgi na thi 
ibham jis qadar tha qarine ke bich tha 
jo mere ham-sinon se baDa kar gaya mujhe 
ehsas ka wo din bhi mahine ke bich tha 
kam-zarfiyon ne zarf ko mazruf kar diya 
jis dard mein ghira hun wo sine ke bich tha 
hain mar-e-ganj mar ke bhi sab Dase hue 
taqsim ka wo zahr KHazine ke bich tha 
tufan-e-bahr KHak Daraata mujhe 'turab' 
is se baDa bhanwar to safine ke bich tha
        Ghazal
Mehnat se mil gaya jo safine ke bich tha
Abu Turab

