اردو हिंदी
Mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai | Shaahi Shayari
mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai

Ghazal

Mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai

Ameer Imam

;

mazid ek bar par bar-e-giran rakkha gaya hai
zamin jo tere upar aasman rakkha gaya hai

kabhi tu chiKH kar aawaz de to jaan jaun
mere zindan mein tujh ko kahan rakkha gaya hai

meri nindon mein rahti hai sada tishna-dahani
mere KHwabon mein ek dariya rawan rakkha gaya hai

hawa ke sath phulon se nikalne ki saza mein
bhaTakti KHushbuon ko be-aman rakkha gaya hai

magar ye dil bahalta hi nahin go is ke aage
tumhaare baad ye sara jahan rakkha gaya hai