اردو हिंदी
Mazaq-e-kawish-e-pinhan ab itna aam kya hoga | Shaahi Shayari
mazaq-e-kawish-e-pinhan ab itna aam kya hoga

Ghazal

Mazaq-e-kawish-e-pinhan ab itna aam kya hoga

Yaqoob Usmani

;

mazaq-e-kawish-e-pinhan ab itna aam kya hoga
zaban par ham-safiron ki mera paigham kya hoga

kahe deta hai KHud aaghaz hi anjam kya hoga
teri aatish-bayani se charagh-e-sham kya hoga

na ghabra baghban bulbul ki rasmi nauha-KHwani se
bhala in chand tinkon ka nasheman nam kya hoga

fida-e-kasmpursi hun nisar-e-talKH-kaami hun
mere azm-e-talab ka muddaa aaram kya hoga

fareb-andar-fareb aatish-dar-atish ai maaz-allah
KHuda na-karda fasl-e-gul tera anjam kya hoga

iradat ka bharam khul jaega baiat na le saqi
giraftar-e-salasil hun tawaf-e-jam kya hoga

ye kyun samjhaun main 'yaqub' nok-e-nashtar-e-gham ko
jo baqi rah gaya hai KHun-e-haft-andam kya hoga