mauja-e-KHun-e-pareshan kahan jata hai
mujh se aage mera tufan kahan jata hai
main to jata hun bayaban-e-nazar ke us par
mere hamrah bayaban kahan jata hai
ab to dariya mein bandhe baiThe hain dariya ki tarah
ab kinaron ki taraf dhyan kahan jata hai
chae ki pyali mein taswir wahi hai ki jo thi
yun chale jaane se mehman kahan jata hai
dastan-go ki nishani koi rakkhi hai ki wo
dastan-goi ke dauran kahan jata hai
baat yun hi to nahin karta hun main ruk ruk kar
kya bataun ki mera dhyan kahan jata hai
ghar badalna to bahana hai bahana kar ke
andar andar hi se insan kahan jata hai
Ghazal
Mauja-e-KHun-e-pareshan kahan jata hai
Shaheen Abbas

