mauj-e-reg sarab-e-sahra kaise banti hai
bahta hua aaina-e-dariya kaise banti hai
khil ke kali chup kyun rahti hai shaKH-e-zar-afshan par
phir ye chahakti kokti chiDiya kaise banti hai
bahar ke manzar bhi hasin kyun lagne lagte hain
dil ki lahr ek kaif-e-sarapa kaise banti hai
aansu se kitna gahra hai miTTi ka rishta
duniya phir gham se begana kaise banti hai
uDte hue patton ki sada ye shor hawaon ka
jangal ki ye faza sannaTa kaise banti hai
main to chaak pe kuza-gar ke hath ki miTTi hun
ab ye miTTi dekh khilauna kaise banti hai
bah gaya mera gharaunda to ek rele hi mein 'zeb'
pani par qaem ye duniya kaise banti hai
Ghazal
Mauj-e-reg sarab-e-sahra kaise banti hai
Zeb Ghauri