اردو हिंदी
Mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi | Shaahi Shayari
mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi

Ghazal

Mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi

Allama Iqbal

;

mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi
maqam-e-bandagi de kar na lun shan-e-KHudawandi

tere aazad bandon ki na ye duniya na wo duniya
yahan marne ki pabandi wahan jine ki pabandi

hijab iksir hai aawara-e-ku-e-mohabbat ko
meri aatish ko bhaDkati hai teri der-paiwandi

guzar-auqat kar leta hai ye koh o bayaban mein
ki shahin ke liye zillat hai kar-e-ashiyan-bandi

ye faizan-e-nazar tha ya ki maktab ki karamat thi
sikhae kis ne ismail ko aadab-e-farzandi

ziyarat-gah-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad meri
ki KHak-e-rah ko main ne bataya raaz-e-alwandi

meri mashshatgi ki kya zarurat husn-e-mani ko
ki fitrat KHud-ba-KHud karti hai lale ki hina-bandi