masti mein farogh-e-ruKH-e-jaanan nahin dekha
sunte hain bahaar aai gulistan nahin dekha
zahid ne mera hasil-e-iman nahin dekha
ruKH par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
aae the sabhi tarah ke jalwe mere aage
main ne magar ai dida-e-hairan nahin dekha
is tarah zamana kabhi hota na pur-ashob
fitnon ne tera gosha-e-daman nahin dekha
har haal mein bas pesh-e-nazar hai wahi surat
main ne kabhi ru-e-shab-e-hijran nahin dekha
kuchh dawa-e-tamkin mein hai mazur bhi zahid
masti mein tujhe chaak-gareban nahin dekha
rudad-e-chaman sunta hun is tarah qafas mein
jaise kabhi aankhon se gulistan nahin dekha
mujh KHasta o mahjur ki aankhen hain tarasti
kab se tujhe ai sarw-KHiraman nahin dekha
kya kya hua hangam-e-junun ye nahin malum
kuchh hosh jo aaya to gareban nahin dekha
shaista-e-sohbat koi un mein nahin 'asghar'
kafir nahin dekhe ki musalman nahin dekha
Ghazal
Masti mein farogh-e-ruKH-e-jaanan nahin dekha
Asghar Gondvi