masarraton ko ye ahl-e-hawas na kho dete
jo har KHushi mein tere gham ko bhi samo dete
kahan wo shab ki tere gesuon ke sae mein
KHayal-e-subh se hum aastin bhigo dete
bahane aur bhi hote jo zindagi ke liye
hum ek bar teri aarzu bhi kho dete
bacha liya mujhe tufan ki mauj ne warna
kinare wale safina mera Dubo dete
jo dekhte meri nazron pe bandishon ke sitam
to ye nazare meri bebasi pe ro dete
kabhi to yun bhi umanDte sarishk-e-gham 'majruh'
ki mere zaKHm-e-tamanna ke dagh dho dete
Ghazal
Masarraton ko ye ahl-e-hawas na kho dete
Majrooh Sultanpuri