اردو हिंदी
Masarraton ka khila hai har ek samt chaman | Shaahi Shayari
masarraton ka khila hai har ek samt chaman

Ghazal

Masarraton ka khila hai har ek samt chaman

Rifat Sultan

;

masarraton ka khila hai har ek samt chaman
magar ye dil ki hai phir bhi qatil-e-ranj-o-mehan

baDe sukun se zulfen sanwarne wale
kisi ki zist na ban jae mustaqil uljhan

mere junun pe rahe log mo'tariz lekin
na dekhe aah kisi ne tere KHutut-e-badan

abhi to harf-e-tamanna ka zikr tak bhi nahin
abhi na Dal KHuda ke liye jabin pe shikan

dil-e-fasurda mein yun teri yaad aai hai
shab-e-siyah mein jis tarah raushni ki kiran

ye kis ne jhum ke masti mein li hai angDai
fusun-taraaz hai ye kis ka rang-e-pairahan

guzar gaya hai zamana magar mujhe 'rifat'
hai ab bhi yaad kisi ki nigah-e-tauba-shikan