marne ki mujh ko aap se hain iztirabiyan
karta hai mere qatl ko tu kyun shitabiyan
mera hi KHanuman nahin viran hua koi
bahuton ki ki hain ishq ne KHana KHarabiyan
KHwan-e-falak pe neamat-e-alwan hai kahan
KHali hai mahr-o-mah ki donon rikabiyan
hargiz KHum-e-falak mein nahin hai sharab-e-ishq
ghunchon ki KHun-e-dil se bhari hain gulabiyan
halqon se us ki zulf ke ruKHsar hai ayan
'taban' jathe mein dekho hain kya mah-tabiyan
Ghazal
Marne ki mujhko aap se hain iztirabiyan
Taban Abdul Hai