mariz-e-hijr ko sehat se ab to kaam nahin
agarche subh ko ye bach gaya to sham nahin
rakho ya na rakho marham us pe hum samjhe
hamare zaKHm-e-judai ko iltiyam nahin
jigar kahin hai kahin dil kahin hain hosh o hawas
faqat judai mein is ghar ka intizam nahin
koi to wahshi hai kahta koi hai diwana
buton ke ishq mein apna kuchh ek nam nahin
sahar jahan hui phir sham wan nahin hoti
basan-e-umr-e-rawan apna ek maqam nahin
kiya jo wada-e-shab us ne din pahaD hua
ye dekhiyo meri shamat ki hoti sham nahin
wahi uThae mujhe jis ne mujh ko qatl kiya
ki behtar is se mere KHun ka intiqam nahin
uThaya dagh-e-gul afsos tum ne dil pe 'surur'
main tum se kahta tha gulshan ko kuchh qayam nahin
Ghazal
Mariz-e-hijr ko sehat se ab to kaam nahin
Rajab Ali Beg Suroor