marham-e-zaKHm-e-jigar ho jae
ek aisi bhi nazar ho jae
ek ishaara bhi agar ho jae
is shab-e-gham ki sahar ho jae
subh ye fikr ki ho jae sham
sham ko ye ki sahar ho jae
ho na itna bhi pareshan koi
ki zamane ko KHabar ho jae
yun to jo kuchh bhi kisi par guzre
dil na afsurda magar ho jae
fikr-e-farda bhi karenge 'hairat'
pahle ye shab to basar ho jae
Ghazal
Marham-e-zaKHm-e-jigar ho jae
Abdul Majeed Hairat