marham-e-waqt na ejaz-e-masihai hai
zindagi roz nae zaKHm ki gahrai hai
phir mere ghar ki fazaon mein hua sannaTa
phir dar-o-baam se andesha-e-goyai hai
tujh se bichhDun to koi phul na mahke mujh mein
dekh kya karb hai kya zat ki sachchai hai
tera mansha tere lahje ki dhanak mein dekha
teri aawaz bhi shayad teri angDai hai
kuchh ajab gardish-e-parkar safar rakhta hun
do-qadam mujh se bhi aage meri ruswai hai
kuchh to ye hai ki meri rah juda hai tujh se
aur kuchh qarz bhi mujh par teri tanhai hai
kis liye mujh se gurezan hai mere samne tu
kya teri rah mein hail meri binai hai
wo sitare jo chamakte hain tere aangan mein
un sitaron se to apni bhi shanasai hai
jis ko ek umr ghazal se kiya mansub 'nasir'
us ko parkha to khula qafiya-paimai hai
Ghazal
Marham-e-waqt na ejaz-e-masihai hai
Naseer Turabi