اردو हिंदी
Marhala dil ka na tasKHir hua | Shaahi Shayari
marhala dil ka na tasKHir hua

Ghazal

Marhala dil ka na tasKHir hua

Baqi Siddiqui

;

marhala dil ka na tasKHir hua
tu kahan aa ke inan-gir hua

kaam duniya ka hai tir-andazi
hum hue ya koi naKHchir hua

sang-e-buniyaadi hain hum us ghar ka
jo kisi tarah na tamir hua

safar-e-shauq ka hasil malum
rasta panw ki zanjir hua

umr-bhar jis ki shikayat ki hai
dil usi aag se iksir hua

kis se puchhen ki wo andaz-e-nazar
kab tabassum hua kab tir hua

kaun ab dad-e-suKHan de 'baqi'
jis ne do sher kahe 'mir' hua