maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe
na dawa yaad rahe aur na dua yaad rahe
tum jise yaad karo phir use kya yaad rahe
na KHudai ki ho parwa na KHuda yaad rahe
loTte saikDon naKHchir hain kya yaad rahe
chir do sine mein dil ko ki pata yaad rahe
raat ka wada hai bande se agar banda-nawaz
band mein de lo girah ta ki zara yaad rahe
qasid-e-ashiq-e-sauda-zada kya lae jawab
jab na malum ho ghar aur na pata yaad rahe
dekh bhi lena hamein rah mein aur kyun sahab
hum se munh pher ke jaana ye bhala yaad rahe
tere madhosh se kya hosh o KHirad ki ho ummid
raat ka bhi na jise khaya hua yaad rahe
kushta-e-naz ki gardan pe chhuri phero jab
kash us waqt tumhein nam-e-KHuda yaad rahe
KHak barbaad na karna meri us kuche mein
tujh se kah deta hun main baad-e-saba yaad rahe
gor tak aae to chhati pe qadam bhi rakh do
koi be-dil idhar aae to pata yaad rahe
tera aashiq na ho aasuda ba-zer-e-tuba
KHuld mein bhi tere kuche ki hawa yaad rahe
baz aa jaen jafa se jo kabhi aap to phir
yaad aashiq ko na kijega bhala yaad rahe
dagh-e-dil par mere phaha nahin hai angara
chaaragar lijo na chuTki se uTha yaad rahe
zaKHm-e-dil bole mere dil ke namak-KHwaron se
lo bhala kuchh to mohabbat ka maza yaad rahe
hazrat-e-ishq ke maktab mein hai talim kuchh aur
yan likkha yaad rahe aur na paDha yaad rahe
gar haqiqat mein hai rahna to na rakh KHud-bini
bhule banda jo KHudi ko to KHuda yaad rahe
aalam-e-husn KHudai hai buton ki ai 'zauq'
chal ke but-KHane mein baiTho ki KHuda yaad rahe
Ghazal
Maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe
Sheikh Ibrahim Zauq