maqdur nahin us ki tajalli ke bayan ka
jun shama sarapa ho agar sarf zaban ka
parde ko tayyun ke dar-e-dil se uTha de
khulta hai abhi pal mein tilismat jahan ka
Tuk dekh sanam-KHana-e-ishq aan ke ai shaiKH
jun sham-e-haram rang jhalakta hai butan ka
is gulshan-e-hasti mein ajab did hai lekin
jab chashm khuli gul ki to mausam hai KHizan ka
dikhlaiye le ja ke tujhe misr ka bazar
lekin nahin KHwahan koi wan jins-e-giran ka
hasti se adam tak nafas-e-chand ki hai rah
duniya se guzarna safar aisa hai kahan ka
'sauda' jo kabhu gosh se himmat ke sune to
mazmun yahi hai jaras-e-dil ki fughan ka

Ghazal
Maqdur nahin uski tajalli ke bayan ka
Sauda Mohammad Rafi