manzilen bhi ye shikasta baal-o-par bhi dekhna
tum safar bhi dekhna raKHt-e-safar bhi dekhna
haal-e-dil to khul chuka is shahr mein har shaKHs par
han magar is shahr mein ek be-KHabar bhi dekhna
rasta den ye sulagti bastiyan to ek din
qarya-e-jaan mein utarna ye nagar bhi dekhna
chand lamhon ki shanasai magar ab umr bhar
tum sharar bhi dekhna raqs-e-sharar bhi dekhna
jis ki KHatir main bhula baiTha tha apne aap ko
ab usi ke bhul jaane ka hunar bhi dekhna
ye to aadab-e-mohabbat ke munafi hai 'ata'
rauzan-e-diwar se bairun-e-dar bhi dekhna
Ghazal
Manzilen bhi ye shikasta baal-o-par bhi dekhna
Ata ul Haq Qasmi