اردو हिंदी
Manzil pe pahunchne ka mujhe shauq hua tez | Shaahi Shayari
manzil pe pahunchne ka mujhe shauq hua tez

Ghazal

Manzil pe pahunchne ka mujhe shauq hua tez

Saba Akbarabadi

;

manzil pe pahunchne ka mujhe shauq hua tez
rasta mila dushwar to main aur chala tez

hathon ko Dubo aae ho tum kis ke lahu mein
pahle to kabhi itna na tha rang-e-hina tez

mujh ko ye nadamat hai ki main saKHt-gulu tha
tujh se ye shikayat hai ki KHanjar na kiya tez

chal main tujhe raftar ka andaz sikha dun
ham-rah mere sust-qadam mujh se juda tez

afsurdagi-e-gul pe bharin kis ne ye aahen
chalti hai sar-e-sahn-e-chaman aaj hawa tez

ab mujh ko nazar pher ke ek jam de saqi
phir kaun sambhaalega agar nashsha hua tez

insan ke har gham pe 'saba' choT lagi hai
shishe ke chaTaKHne ki bhi thi kitni sada tez