manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai
dil phir kisi safar ka saman kar raha hai
ya rat-jagon mein shamil kuchh KHwab ho gae hain
chehra kisi ufuq ka ya phir ubhar raha hai
ya yunhi meri aankhen hairan ho gai hain
ya mere samne se phir tu guzar raha hai
dariya ke pas dekho kab se khaDa hua hai
ye kaun tishna-lab hai pani se Dar raha hai
hai koi jo batae shab ke musafiron ko
kitna safar hua hai kitna safar raha hai
Ghazal
Manzar guzishta shab ke daman mein bhar raha hai
Shahryar